Subah subah 8:00 baje se humari class lagna chaloo hoti hai Bohut se log subah uth hi nahin pate hain to 8 ki jagah 8:20 par aate hein. Yehi loog class mein sabse peeche baithkar jamhaiyaan bhi lete hein. 9:00 baje 5 minute ka jo break hota hai ,Mauka dekh kar canteen subah ki chai peene ke liye
koooch karte hain. 9:05 ki jagah 9:15 aur kai baar 9:50 tak ho jata hai.Das baje to class khatm hoti hi hai. Sab bahar chale aate hein
Aur phir "Chaman Vatika" yane ki humare campus mein logon ki (students ki) bheed lagna chaloo hoti hai, Din bhar chalne wale najaron ki shuruat … Kafi loog group mein gappe ladate hein to kuch couples mauka dekhkar apni car mein ek taraf baithkar baatein karte hein. Ve apna samay library mein bitane ki jagah "Chaman Vatika" mein bitate hein. Ek dusre ki sooch mein doobe hue dhere dhere din gujarta rahta hai.
Kuch bacche jo ki 5yr aur 6yr courses mein hain apne bachpan ki aadat se majboor, samne road par cricket khelkar apna time pass karte hein. Jo ki sidhi sadak humare insti ke andar aati hai jise usey "Gurukul ka darwaza" yane ki humari insti ke gate se band kiya gaya hai. Usey bacche cricket khel kar itna engage kare rakhte hein ki "Gurukul ka darwaza" band karne ki jaroorat hi nahin padti. Students chakit hein ki humare director ne darwaza kyon lagwaaya hai .
Isi darwaze se hote hue jab humare director sir andar aate hein to unki car kafi speed se andar aati hai.Ek baar to lagta hai ki gaadi rukegi ki nahin.Per wah rook jati hai institute porch ke dheek saamne .Yeh confirm hote hi ki car mein director sir hi hain, sab loog aise gaayab hote hein jaise Gadhe ke sir se singh … jo nahin bhaag pate hein unhen majbooran ghabrakar director sir ko namaste karna padta hai. Director sir
gussse se muskurate hue poochtey
hein "Tumhari class nahin hai kya?"
Students kehte hein "Sir, lecture khatm ho gaya hai."
Ramani Sir- "Library mein ja kar baitho, itni books hein jaa kar padho,"
phir wah poochte hein
Ramani Sir- "Tum kis course ke ho."
Students - "MMS 2Yrs Final sem"
MCA Students ki taraf ishara karke kehte hein
Ramani Sir-"Mere murge to vo hein, mein wahan ja raha hoon."
Bus phir to unki shamat ayee
Kafi Students lab mein internet chaloo dekhkar net access karne baithte hein, e-mail karte hein, surfing karte hein. Maza to tab aata hai jab ramani sir chupchap peeche se aakar poochte hein "Yeh kya kar rahe ho?" bina timing ke lab mein baithne ka
100 Rs/- fine lagta hai.
Kuch students lab se bahar aate hein kuch, library chale jaate hein aur kuch wapas chaman vatika mein aa jate hein kuch to itne thak jate hein ki bahar porch pur hi baith jate Hamare institute ki reputation pur char chand lagatein hein, Hamare staff ne yeh chand hatane ke liye wahan gumle rakhne ka prabandh kiya hai.
Loog mayus hookar jahan student parking hoti hein wahan gadiyon pur chaon dekhkar baith jate hein.
Parking mein itni gadiyan aati hein ki students staff parking mein park karne lagte hein. Is stithiti ko rookne ke liye humari institute ki taraf se
ek toote hue baans aur tooti hui jaali ka prabandh kiya gaya hai. Yehi humare student aur staff parking ke beech ki
laxman rekha hai.
Parking to different kar sakte hein pur canteen ka kaya keren jahan students kuch teachers ki burai karte hein Unhein pata nahin hoota hai ki jin teacher ki who burai kar rahen hain who durbhagya was unke peeche baithe hue hain, phir vo student kya karega jo karna hai vo to teacher hi karega. Aakhir internals ke 40% marks teacher ke hath mein hoote hein. Halaanki kuch teachers aise hoote hein jinhen padhana to ata nahin hai. Ve class time pass karne ke liye aur course complete karane ke liye
student ko assignment aur presentation karne ko dete hain.Jisse woh bach jayen aur course bhi khatam ho jaye, jisse unki monthly income pur koi bura aasar na pade, aur bachhe bhi teachers ke aage piche ghoom saken, Issey teachers ki value bhi bani rahen. Aab aap hi batayen ki jo bachhe apna saman ka khud kyal nahin raakh sakte wo kisi bore teacher ke peeche kaise ghumenmge
jo ki har dusre din notice par likha milta hai
"Ek kale rang ka bada sa helmet aaj dhai baje library ke samne se gum gaya hai, jise bhi mile wo humein is pate pur bata
de."
Aab batayeh amir gharoon se aaye huye bachoon ke liye careless hona to ek shan ki baat hai , kyonki unke parents to baithe hein unhen nai bike aur car aur mobile dilwane ke liye ..phir to bacha kahega hi ki papa mere dost ne CBZ kharidi hai mujhe bhi ADRENO kharid ke dijiye naihin to college nahin jaoonga.Ab kisi rayees ghar ka bacha aagar padha likha na ho to us ghar ke liye badi sharm ki baat hai isliye unhen bachhon ki man pasand gadiyaan dilani padti hain, jise unka impression institute ki ladkiyoon pe aacha pad sake aur sundar se sundar ladki unki gaadi mein baith sake.Bhale hi wo unka driver lage per vo chalega.
Har thodi der mein kuch ladke baar baar toilet jate hain. koi toilet karne nahin jaate hein balki wahan pur ek bada sa aaina laga hai Usmein aapne baal banane aur dress thik karne jate hai, jiske liye kabhi kabhi to line lagti hai.
Jis students ko Chaman Vatika ki in sab baton se koi matlab nahin rehta wo sab yahan padhne aate hein aur free time mein library mein baithte hein.
Apni matlab ki books issue karate hein jo sirf 11 am se 4 pm tak issue hoti hein Vaise library staff aate aate 11:30 am baja deta hai aur jate jate 3:45pm. Dot 11am aur 4pm ka is mein koi role nahin hoota. Jisse wo bacha agar books issue karane galat time pe pahuncha to use samjhane ki bajae staff se bahot khari khoti sunni padti hai. Jaise har person apne aap ko ek administrative person samjhta hai. Phir Kya Jaise taise students apni Books issue karate hain aur agar sahi date par nahin lauta pai to 10 Rs Per day ke hisaab se Fine dete hain. Jo ki 15000 Rs mein included nahin hai.Tabhi hamara institute ek accha self financed institute hai Staff ke liye saari suvidhayen uplabdh hain
Kher majaa to tab aata hai jab LT 1 Mein koi Guest lecture hota hai.Jo IIPS ke students bahar bhatakte rahete hain unhen Bhet Bakeriyaon ki tarah Khadedte hue engage kar liya jata hai.Jo Fas gaya … vo to gaya.Aur jo chalaaki se niakl gaya vo bahar khada hokar andar valoon par hasta hai. Aur phir bahar rahta hai to bheed kuch lkam dikhte hai to time paas karne ke lieye chane khata hai.Jo ek chane wallla daily 5 PM par institue mein aata hai aur apna dhanda joro par dekh kar bada kush rahta hai.Aur paanch se 6 PM tak saare chane khatma kar kar chalk jata hai.Kyonki use pata hai ki IIPS ke student Chaman vatika mein jyada rahana pasand karte hain to kuch snacks to hona hi chahiye Phir Dhheere
dhirre sari bheed chatne laghti hai.Par hamare placement cell mein ve dedicated students shaam ke
7 PM bajaaye bina ghar nahin jate hain. Apni purri mehnat placement cell ko pradan karte hain.Agar koi galti se cell ke bahar ka student andar aa jaye to saanth ho jate hain.Kyonki unka usuul hai "Secerecy is the best
policy" aur vah ise main tain karte hain .Aur itna silent rahte hain ki bahut se logon ko yah bhi nahin pata chalta ki company aaa kar chali gayee aur is tarah hamare placement ka percentage hamesha se hi acchhha raha hai (IMS ke liye)
Note: Please contribute to maintain this routine of IIPS family
Editorial : Please do not take anything seriously The article
is written in Light humour. and there is no pun intended to anyone.
Vikas Gangpari
|